KUCH BIKHRE HUE LAFZ..
Kuch khamosh pal
kuch sard raatein
subaah ki khili dhoop
aur us khwab ka tootna
kya ye wahi manzar hain
jiska tha yun intezaar?
kuch khwaab bheege palko pe
kuch armaan ankahe se
sukhe patto ki sarsarahat
aur ek aahat..kuch jaani pehchaani
kya ye wahi hain
jinka tha yun intezaar?
Kaach ki choodiyan bikhri hui
kuch mere sapno ki tarah
apne aachal main samaetne ki koshish
woh saare lamhe,woh saara dard
pal pal yun guzarna
jaise sadiyaan dhoond rahi hoon
aasman ka har ek sitara
khwabon main boon rahi hoon
Toot ke bikhar bhi jao agar
zubaan khamosh rahe magar
mera dard sirf mera hain
ise baat nahi sakti main
bahut apnaa sa lagta hain
aapka har sitam..
Surprise!an attempt to write in an alien language...bt the only language that can capture my thoughts rite nw..dedicated to someone very special..who made me realise that life is more than jst living...its experiencing..every moment..every pulse..opening a window into a world where dreams do come true..thank you fr everything!